Translate

Thursday, November 17, 2011

Learn from a pair of walking legs, the foot that is forward has no pride & the foot which is behind has no shame... because they both know their situation will change soon


Mere rab ne ye karam anokha rakha,
Di sari khushi par tanha rakha.
Toot jata hai har khwab pura hokar,
Isliye Maine Ek khwab adhura rakha.


Hum unki khushi ki dua mangte rahe,
Behad or bepnah mangte rahe.
Aaj wo khush hai kisi or ke sath,
Ab samjh aaya hum KHUDA se apne liye hi sazaa mangte rahe

LAKSHYA HO TO AISA

Teacher: Tum bade hokar kya karoge ?

Student: shaadi..!!!!!!
Teacher: nahi, mera matlab hai kya banoge?.....

Student: dulha.!!!!!!!!!!!
Teacher: oh, i mean bade hokar kya hasil karoge?

Student: dulhan
Teacher: IDIOT mera matlab bade ho kar mummy papa k liye kya karoge?
Student: bahu laaunga
Teacher: stupid tumhare papa tumse kya chahte hai?

Student: pota
Teacher: he bhagwan, tumari zindagi ka kya maksad hai?

Student: hum do humare do, jab tak teesra na ho......!!!!!!

Mil Gai Khushi

Mil gai khushi tujhe mere dil ko chaak karke,

Mil kya gaya tumhe mera jahan barbad karke,

Royenge ab ye soch ke hum umr bhar,

Chale gaye wo mujhe khushiyon se azaad karke...

Tadap uthti hai dil me tujhko khabar kahan,

Tumhe to mil hi gaya hai doosra jahan,

Bhatak rahe the dard ke samandar me,

Sochta hu ab gham se bachkar jaun kahan...

Bejan kar ke ja rahe ho tum mujhe,

Kabr ke andar tadpa rahe ho tum mujhe,

Chain kahan ab yaha pe mujhe,

Hath pakad duje ka jala rahe ho tum mujhe . .