Translate

Wednesday, June 13, 2012

Main or meri Tenhai

Rehtey hain saath saath main aur meri tanhai
Kartey raaz ki baat main aur meri tanhai!

Din to guzar hi jata hai logo ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai!

Saanson ka kya bharosa kab chor jaye saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai!

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai!

Aa ke paas kyon door ho gayi hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai!